Zindagi!!
raaz bada gehra hai
Thoda gulshan
Zyada sehra hai
Kumsini hai gulshan
Woh hi pal bhaara hai
Nadani ke jehlum main
Be fikri ka shikaara hai
Zindagi
raaz bada gehra hai
Jawani per
Jemmaidariyon ka pehra hai
Is pal ne zyada waqt gera hai
Ankon main hai neend
Per maan main
Afkaar ka basera hai
Faqt tez dhoop hai
Dehekta huwa angara hai
Zindagi
raaz bada gehra hai
Zayifi bus samjhota hai
Hasil la hasil ka mara
Makafaat e amal hai sara
Adviyaat per guzara
Khali haath aaya
Khali haath jana
Phir kya tera kya mera hai
Zindagi
Raaz bada gehra hai
_Farha🌹
-