Faheem   (Faheem Iqbal)
1.8k Followers · 126 Following

read more
Joined 14 December 2016


read more
Joined 14 December 2016
12 MAY 2022 AT 10:59

Tum dil se jo door karogi mujhko, kidhar jaunga maiñ
Ya to paagal hojaonga ya phir mar jaunga maiñ

-


14 AUG 2021 AT 23:40

GHAZAL غزل

Siwa tere jahaañ main kon mera hai
Tujhi sey to mera har aik rishta hai

Kisi dushman ne mera dil nahiiñ toda
Bas apnuñ ki waja se hi ye toota hai

Wo rootha hai to is maiñ kya ta'ajjub hai
Muhabbat maiñ gila shikwa to hota hai

Usey bhi konsi raahat hai mere baad
Wo mujhko chhor kar khud bhi to tanha hai

Tum us ki dushmani se dar rahe ho kyuñ?
Khuda hai kya? Khuda hi ka to banda hai

-


9 AUG 2021 AT 21:52

Ghazal

Ta'alluq sab mitaana chahata hooñ
Maiñ us ko bhool jana chahata hooñ

Suna kar apne gam ki dastaañ maiñ
Usey be hadd rulaana chahata hooñ

Likhi haiñ jin pe tumne jhooti baateiñ
Maiñ wo sab khat jalana chahata hooñ

Buhat waada khilaafi ki hai maine
Maiñ ab waade nibhana chahata hooñ

Charaguñ aur diyooñ ka kya bharosa
Maiñ apna dil jalaana chahata hooñ

-


8 AUG 2021 AT 22:09

Urdu Ghazal

Khuda ko mante haiñ ham sabhi par
Khuda ka maanta koyi nahiiñ hai
Sabhi apna mujhe kehte haiñ lekin
Haqiqat maiñ mera koyi nahiiñ hai
Jo ankheiñ khol kar dekha to dekha
Mere jaisa bura koyi nahiiñ hai
Jo seh paaye hawaooñ ke thapede
Yahaan aisa diya koyi nahiiñ hai
Yahan bas log sanseiñ le rahe haiñ
Haqiqat maiñ jiya koyi nahiiñ hai
Jise maiñ apna sab kuch manta tha
Ab us se waasta koyi nahiiñ hai

-


7 AUG 2021 AT 18:30

Urdu Ghazal

Ye Waqt Sirf Rab Ki Ibadat Ka Waqt Hai
Insaañ Ki Bandagi Se Bagawat Ka Waqt Hai

Nafrat Ko Chhor Dijiye Khuda Ke Liye Ab Aap
Ye Aik Dusre Se Muhabbat Ka Waqt Hai

Thodi Si Karo Sharm Tum Ai Maada Parasto
Ye Waqt Kya Lahu Ki Tijarat Ka Waqt Hai?

Jhuk Jao Aye Faheem Khuda Ke Hazoor Ab
Toba Ka Waqt Hai Ye Nadamat Ka Waqt Hai


-


6 AUG 2021 AT 10:21

.



.



.



.

-


5 AUG 2021 AT 14:54

Maiñ hañsta muskurata tha par aisa ab nahiiñ hota
Kisi ke hijr ne bilkul badal kar rakh diya mujhko
میں ہنستا مسکراتا تھا پر ایسا اب نہیں ہوتا
کسی کے ہجر نے بلکل بدل کر رکھ دیا مجھکو

-


5 AUG 2021 AT 14:40

Aaj mere makaañ pe aaya wo
Aaj weerañ ko ghar kiya usne

آج میرے مکاں پہ آیا وہ
آج ویراں کو گھر کیا اس نے

-


24 JUL 2020 AT 16:51

یا خدا وہ میرے گھر آنے کو ہے
یعنی کیا گھر میں سحر آنے کو ہے

Ya Khuda wo mere ghar aane ko hai
Yaane kya ghar maiñ sehar aane ko hai

-


8 APR 2020 AT 23:58

Rubbish is for bins, not for the brains.
○Faheem Iqbal○

-


Fetching Faheem Quotes