DhruVin V KamDar  
33 Followers · 89 Following

Joined 22 February 2018


Joined 22 February 2018
2 APR AT 4:49


सच्चे दोस्त वो नहीं जो साथ में हँसते हैं,
बल्कि वो हैं जो आँसुओं में छुपकर बरसते हैं।
वक़्त की मार हो या दुनिया की चोट,
जो ढाल बनें, वही हैं असली दोस्त।

अपनी इज़्ज़त भी दे दे जो तेरे नाम पर,
तेरी ख़ुशी के लिए झुके हर एक काम पर।
भले दुनिया कहे “कमज़ोर है ये इंसान,”
मगर दोस्ती में रखे वो भगवान समान।

न करे गिनती एहसानों की,
बस निभाए बात पुराने वादों की।
कभी बने दीवार तेरे दर्द के आगे,
कभी तेरी हँसी चुराए तेरे ही साये से भागे।

ऐ दोस्त, जब चुनने का वक़्त आए,
उनका साथ देना जो दिल से निभाए।
क्योंकि जो सच्चे हों, वही रह जाते हैं,
बाक़ी तो बस नाम के रिश्ते निभाते हैं।
-ध्रुविन वी. कामदार

-


9 MAR 2024 AT 1:16

Logo ne kai baar pucha humse ki kyu maine apne pyaar ko jaane diya, kyu maine palat kai ek baar bhi nahi dekha.

Maine jawab mein bus itna kaha ki ,
Nato woh palat ke wapas dekhta nato woh sacha pyaar tha!

-


15 JAN 2024 AT 2:06

Ajkal waqt guzarna bada mushkil sah ho gaya hain mere liye, jab subah hoti hai to raat ka intezar rehta hai aur raat aati hai to bus neend aane ka intezaar rehta hain!

Neend jab tak nahi aati yehi soch me pad jaata hoon main ke kahi agar neend aa bhi jaye to sapne jo aye , woh kabhi sach na ho kyoki wahi sapno me bhi sapne kab khatam ho ussi ka intezar rehta hain!

-


16 JUN 2023 AT 2:38



Hum ladke hain janaab, bahot hi sahanshilta rakhte hai, takleefon ka samna hum datt ke karte hain!

Mushkilon se ghire rehte hain, hal dhundne me puri zindagi nikal dete hai! Hum ladke hain janaab, bahot dhairya rakhte hain!

Bachpan se lekar jawani tak, parivar ka sunte hai, kahi samaaj me naam kharab na ho uska hum dhyaan rakhte hai!

Jawani ke din bas naam na bigde ussi me kat jate hai, zindagi jeena ka jab samay aata hai tab kandho pe zimmedari ka wazan aa jata hain!

Bahot sambhalne ki koshish karte hum , zimmedari aur khudh ki zindagi jeene me ulaj jaate hai hum! Hum ladke hai janaab sare gham bhulake chehre par muskurahat rakhte hai hum!

-


5 APR 2023 AT 10:32

Kuch khwahishein sirf khwahishein reh jaati hain, kuch tamannaen adhuri reh jaati hai! khafa na hona kabhi in cheezon pe, kya pata kisi aur ke khwabon me tum ho, kisiki aur ki tamanna tum ho!

-


2 MAR 2023 AT 9:40



Haqiqat bayan karta hu main, thoda mujhko ,mujhse bhi thoda aur tujhko chahta hu main!

Haqiqat bayan karna shayad nahi janta main, magar chehre pe haqiqat chupana bhi nahi janta main!

Dekh kar tumhe har baar chehre pe wahi muskaan chaah jaati hain, jab bhi sunta hu tumhari awaaz harbar saanse tham jaati hain!

Shayaad tumhe yeh padh kar ab bhi yakeen na aye meri kahani pe, ek baar unse bhi puch lena jo padh ke yeh kahani pehli nazar ghumayenge tum pe!

-


15 JAN 2023 AT 13:10

Jab tumhe koi bolne ka mauka na de kisi bhi rishte me, to ye mat samajna ki tumhe bolne ka haq nahi hai!

Sirf unko tumhe jatana hai ki agar tum asliyat me chup ho gaye to unki duniya khamosh si ho jayegi!

-


12 NOV 2022 AT 19:46

Jab bhi me apne aap ko akela paata hoon, me aksar uske paas wapas jaana chahata hoon!
Maloom hain mujhe usse milega sirf pal bhar ka pyaar, puchta hoon apne aap se ke kya itna kaafi hain mere yaar!

Jab bhi akele me yeh sochta hoon uske baarein main, pehle yaad aata hain uske saath bitaya hua har ek acha pal! Lekin jab thoda aur sochta hoon to yaad aata hai wahi karan jisse main hua tha usse alag!

Dukh, Dard, nirasha , bewafai , jhoote waadon se ghira tha main, kya aise insaan ke piche paagal tha main? Jab bhi yeh sochta hoon yakeen ho jaata hai mujhe, bhale hi akelepan ki thand mein kaapne pade mujhe, nahi zaroorat aise dard ke chadar ki jisse nafrat ki garmahat se thand se bachaya ja sake mujhe!

-


3 NOV 2022 AT 22:05



Kuch baatein aaj main kehna chahata hu tumse, aas lagaye baitha hu ki kab izhar karu tumse!

Maana sabse alag ho tum, sabse badkar ziddi ladki ho tum, par duniya me sabse pyaari ladki ho tum!

Woh jo log chaand sitaron ki baatein karte hain aankhon me aankhein daal ke, hume to apni duniya dikhti hai jab doob jaate hain tumhari aankhon me.

Ji ha aaj me kehta hu tumko ki ek baar mera saath deke dekho, yakeen dilaunga ke har koi saath nahi chodta!

-


2 NOV 2022 AT 1:24

Aaj ho rahi thi bateein usse har roz ki tarah, haal maine pucha uska har roz ki tarah! janna tha uska din kaisa gaya , kya woh bhi intezar kar rahi thi meri tarah!

Baaton baaton main maine usko hichakte dekha, na thi uski awaaz me nami kabhi iss tarah! Jab maine pucha uska haal hai kaisa to woh sir jhuka ke boli bus har roz ki tarah!

Janana chahata tha uski udaasi ki wajah, laana chahata tha hassi uske chehre pe kissi bhi tarah! Jab udaya maine apne aap ka mazak uske samne, has padi woh bus pehle ki tarah!

Soch rahe honge kyu maine hi apna mazak udaya, hasa sakte the usse aur bhi kisi tarah! Kal duniya mera mazak udati thi aur me hasta tha, aaj me apna mazak udata hu to meri duniya hasti hai! Haanji bus abto issi tara se meri zindagi chalti hai, issi tarah se meri duniya hasti hai!

-


Fetching DhruVin V KamDar Quotes