16 MAY 2018 AT 5:57

Ek khwab ke tukde se naya khwab bun lun,
Aankhein moondke main andheron mein mera chaand dhundh lun,

Haa zara si nami hai,
Lekin pyaar ki na koi kami hai,

Dil ke saayon mein odke mohabbat,
Ek nayi zindagi janmi hai,
Ek nayi muskaan chalki hai,

Shayad aasmano ki bhi hai yahi chahat,
Ki, rooh se rooh kabhi juda na ho,
Pyaar ki dor kabhi kamzor na ho...

- Mahima Dua (Moni)