24 APR 2018 AT 8:42

Ek dhadkan choot jaaye,
To dusri pakad lo.
Ek lamha kho jaaye,
To dusra thaam lo.

Ek sapna bikhar jaaye,
To naya khwab bun lo.
Ek aansun chalak jaaye,
To nayi muskaan dhundh lo.
Aur dil agar toot jaye,
To pyaar ki dor se un dhadakte tukdon ki,
Ek nayi maala piro lo.

Kyunki, ae mere dost,
Zindagi rukne ka naam nahi,
Zindagi thamne ka naam nahi,
Ye to vo nadi hai,
Jo hamesha behti rehti hai,
Jo koi na koi sargam hamesha sunaati rehti hai.
Ek dhun chootti hai, to ye naye taraane gaati hai,
Par khaamosh sirf ussi din hoti hai,
Jis din ye hamesha hamesha ke liye apne sagar mein mil jaati hai,
Aur ussi ki ho jaati hai...

Lekin tab tak isse behne do,
Iski lehron ko jee bhar ke machalne do,
Gungunaane do, Muskuraane do,
Soraj ki pehli kiran sang ishq ladane do,
Yeh zindagi hai... isse gaane do... muskurane do...
Khud ko har lamha jee bharke jeene do...

- Mahima Dua (Moni)