tere hote hue aaj ye aansu aaye
ab iske aage aur kya kaha jaaye-
अक्सर मुझको ये गुमान होता है, हर किसी में छुपा एक इंसान होता है
मगर फिर कहीं कुछ हो जाता है, फिर कोई हिन्दू कोई मुसलमान होता है-
Door ret pe shayad kuch hara nazar aa gaya
Phir jaane kya dhundhne main shehar aa gaya-
Tere kaandhe ka sahara mil jata, toofan me kinara mil jata
Raatein jo akele cheekhti hain, Inhe sukoon dobara mil jata-
Na taareef ka saleeka na hunar aata hai
Varna to kya kuch unme nazar aata hai-
Ye shaam jo itni haseen guzri hai
Teri sohbat ka dila ke yakeen guzri hai-
Is hadd tak khud ko aazmaane diya
Itna tujhe chaha ki haste hue jaane diya
-
Ek to mohabbat... Uspe likhne ki aadat
Apni bhi ruswaai... Unke liye bhi aafat-
Rafta Rafta tujhse azaad karna hai
Ab yun bhi khud ko barbaad karna hai-
na naam yaad rahega, na haisiyat yaad rahegi
vo lafz chhod jaungi, ki shakhsiyat yaad rahegi-