Bhuwan Vishwakarma   (Bhuone)
50 Followers · 15 Following

Artist of life
Joined 19 November 2017


Artist of life
Joined 19 November 2017
5 JUL 2023 AT 21:50

कुछ अश्कों में बहे
कुछ कागज़ों में कहे

जितने भी थे दर्द सारे
कुछ अपनो में बांटे
और बोहत से अकेले सहे

कुछ दर्द तो दूर हुए भी
और कुछ हमेशा साथ भी रहे

जब ज़िंदगी के सफर मैं चला
कुछ दर्द मामूली से मिले
तो कुछ दर्दों के गहरे घाव रहे

और दोस्त ?
कुछ ने पूछा सिर्फ अच्छे वक्त मैं
कुछ बुरे मैं भी साथ रहे

जितने भी थे दोस्त सारे
कुछ आम सी बारिश मैं ही बिछड़ गए
कुछ तूफानों मैं भी साथ रहे

जिंदगी के किस्से मेरे
कुछ अश्कों में बहे
कुछ कागज़ों में कहे

-


22 NOV 2022 AT 23:57

वो कहते हैं के
सब आए

मेरे पास हालात सब आए
कुछ तो सह लिए अक्सर
कुछ ने दर्द भरे घाव लगाए
मेरे पास हालात सब आए

कुछ आए अचानक चुपके से
तो कुछ इब्तिदा से क़हर लाए
कुछ को देखते ही पहचान गए
तो कुछ पोशीदा नक़ाब मैं आए

कुछ देने आए घाव गहरे
तो कुछ पुराने कुरेदने आए
कुछ सबा से लगे दिल को
कुछ ने दिल मैं आतिश जलाए

कुछ ने बिखेर दी रूह सारी
कुछ ने हड्डियों की राख बनाई
कुछ ने तोड़ दिया
कुछ ने निचोड़ दिया

कुछ लाए तजुर्बे
तो कुछ सबक लाए
मेरे पास हालात सब आए

-


13 JUL 2020 AT 2:09

Karta hai dill laakh bahane
Raazi hokar bhi baat na maane
Gham mai dooba dhunde choti khushiyon ke bahane
Iski kya marzi ye toh khud dil hi jaane
Adh jae kisi pe toh karde ek saari duniya sare zamaane

-


9 JUL 2020 AT 2:59

Chalta rahunga rukunga nahi
Dheere chalunga lekin rukunga nahi

Thakk jaunga jab bhi
Toh do pal theher jaunga
Lambi saans lunga aur phirse chalunga
Aaghe chalta jaunga rukunga nahi

Raah par chalta rahunga kabil ban jaunga
Girunga sambhalunga aur chalta jaunga
Manzil mile na mile shayad par
Ek acha musafir bann jaunga

-


23 MAY 2020 AT 20:13

Mere desh ke majdur unke per ke chhaale
Nange per chal rahe sadak pe koi mitti ya ghaas nahi
Ghaaw gehre leke ghar pohch jaenge sath bhuk aur pyaas sahi
Wo garam dhoop se tapti sadak
Pero mai jakham bhare hein sahab
Joote hein nahi chappalo mai bhi per kaise daale
Mere desh ke majdur unke per ke chhaale

-


10 MAY 2020 AT 3:30

Wo ladki thi toh sabne baat maan li
Doshi sirf wo ladki nahi
Pura internet hai jisne uski jaan li
Na koi saboot vakalat
Na koi FIR na koi adalat
Baat sirf jhoot aur sach ki nahin hai
Baat kisi ki jaan ki hai
Social media mai faisla toh de dete ho
Uss Maa ko uska beta bhi wapas dedo
Wo Sarvjeet sa majboot nahi tha
Wo Masoom 17 saal ka bacha tha
Wo itna dabaav sehne ke liye kaccha tha
Ladki thi toh sabne uski kahani maan li
Bas isi baat ne masoom Manav ki jaan li

-


26 FEB 2020 AT 6:20

Wo ham nahin nashe mai ham the
Sudh budh khoi thi ladkhadate kadam the
Aji wo ham nahin nashe mai ham the
Hosh mai hote toh shayad chhup hi rehte muddaton tak
Nashe mai the bina soche samjhe bolne wale hi ham the
Aray wo ham nahin nashe mai ham the
Kya karte wo mad'hoshi mai doobe aalam the
Keh gaye honge bohat kuch jo na hosh mai kehte kabhi
Ab jo hosh mai hein toh soch rahein hain abhi
Ke wo ham bhi kya ham the
Aray asal mai wo ham nhin balki nashe mai ham the

-


20 JAN 2020 AT 4:27

Dafan karne laash apni hi
Khodta rehta hu kabar apni hi
Khoya hua mai dhundh raha khabar apni hi
Raat bhar sochte hue zindagi ki sari galtiyaan
Kya tumhein bhi hota hai?
Bechain mann mai khayal aate ho ?
Samay mai piche jaa sakta toh mai wo nahi karta jisne meri zindagi mai wo ghaaw diya
Wo pal se dur rehta jisne meri zindagi mai wo mod diya
Hota hai na ?
Haan bas yehi hai ki wo mar chuki zinda lash ko dafan karne ko mai aksar raat bhar sochta rehta hu
Ateet ki laash apni kaise dafanau ?
Aksar raaste khojta rehta hu

-


21 JUL 2019 AT 23:21

Na saansein chadhi na dill ko sukoon mila
Aaj ham unke qareeb se guzre iss tarah

-


30 JUN 2019 AT 1:33

Geeta Quraan ke liye hamesha jo ladhe har kahin hein
Ye wahi log hein jo ye pak kitabo ko kabhi padhe nahin hein

-


Fetching Bhuwan Vishwakarma Quotes