21 MAR 2018 AT 14:18

Kya kabhi dekhi hai un lehrate hue pedho ki hasi
To dekha hoga tumne un murjhaye hue paudho ke ansuo ko bhi
Kya kabhi dekhi hai khushi un baago ki
Jab koi naya paudha unme lagaya jata hai
To dekha hoga tumne us gum ko bhi
Jab koi pedh unme se kaat diya jata hai
Kya kabhi dekha hai tumne un pedho ke alingan ko
Jab koi chidiya unki daali par chehakti hai
To dekha hoga to tumne un ansuo ko bhi
Jab koi khila hua phool unki daali se tod liya jata hai

Kya kabhi dekha hai tumne?

- Tub_Of_Quotes