Meri dost ho tum, Par bahno jaisa bhav hai, Roj hoti nahi baat, Phir bhi tumhara aata hamesha khayal hai, Rishta atut hai hamara, Tabhi to Dil ekduze se judha hai sara, Duwayon ke sagar mein moti pyar mile, Aaj janmdin par tumhe dher sari khushiyon ka saaz mile! I love you @kuppu!
Meri Maa baba ka Milan ka din aaya hai, Prem ke ashru se abhishek karaya hai, Lo Samparn ka pusp chdhaya hai, Bhajno se swagat karwaya hai, Prem bhare bhavo sa dhup lagaya hai, Vishwas ka dipak hamesha ki tarah hriday mai jalaya, Mahashivratri ka parv mein khud ko chadhaya hai! Mere Maa baba ka Prem nikharkr ye din sajaya hai!
Kanha Jo chahe karwalo, Dard ki agni mein khub jala do, Jaha "Mai " ka nishan na ho, Niswarath Prem ki ganga mann mein baha do, Bass Aap swikar pawo, Aisa kundan bana lo!
Badduwa dekar bhi ham apko Duwa dene ja rahe hain, Jis Prem ki talab nahi, Usko aapse dur jane ki, Khushiya batne ja rahe hain, Labz ab sil gaye hain, Kya hi bol ham payenge, Khamoshi ka Chadar odh, Ab koi sawal na ab ham kar payenge!!
Ishq hi nahi sirf , hamne to ibaadat ki hai, Bass khuda hi janta hai kitni shiddat se hamne tumse mohabbat ki hai, Yu to Khali Dil banakar naam na likhne ki bas gustakhi ki hai, Jab rooh me utaar li hai to jamane ko batakar na hamne numaish ki hai!!