Zindagi ki kitaab mein
har panne mein kisse likhe hai
Jab aaogi toh zara iss baar
waqt thoda zyada laana
tumse judaai ke dino ki baatein karni hai
Apni zindagi ki har likhi kahani sunani hai
thoda pal sath bitaana hai...
Khair choro keh kar apne iss waqt ko
thoda aur badhana hai
mujhe tumse tumhare samne pyaar jataana hai
aaogi na mere paas iss saal kyunki tumhara abhi humein haal jaan na hai
tum kaha ho, kaisi ho bas mujhko ye hi jaan na hai...
-