Ankush Raina Ā  (anku (ankush raina))
260 Followers Ā· 448 Following

.....
On Instagram by > ankushraina06
šŸ’”šŸ’”šŸ’”šŸ’”šŸ’”
Joined 5 December 2017


.....
On Instagram by > ankushraina06
šŸ’”šŸ’”šŸ’”šŸ’”šŸ’”
Joined 5 December 2017
20 JAN 2022 AT 21:52

bdalna ain-e-fitrat hai uska,
gair k saath jo nisbat-e-khaas hai uska,
ahl-e-gaflat mai ab ragbat hai uska ,
galat krne par husn-e-maaz'arat kamaal hai uska,
muj par zulmat aur phir usme sabqat
` hazrat` ye to savaab hai uska!!!



-


27 DEC 2021 AT 20:53

vo mujko khaak smajta hai
istemaal krke naapak smajta hai ,

vo lakho dilo ko apni khuraak
smajhta hai
zamaana aaj usko alamnaak smajhta hai ,

vo aaj be muje kuch nhi smajhta hai ,
pr phir be isi dil say ulajhta hai.

gair usko apna imlaak
smajhta hai
vo aaj be mujko chaalaak
smajhta hai ....















-


24 DEC 2021 AT 14:34

mehmaan-e-mai-farosh ban kr mai-khane mai jata hu ,
peekar ab mai apne hosh kho jata hu ..
gair k saath dekh kr usko khamosh ho jata hu ,
aaj be usko siyaah-posh mai dekh kr apne hosh kho jata hu..

-


27 NOV 2021 AT 19:25

gairo say milne mai hisaab nhi rkhta hai ,
mai karu koi sawaal toh jawaab nhi rkhta hai ,
ye jnaab apne kaamo mai savaab nhi rkhta hai ,
Dilbar hai ye kaisa jo muje ehtisaab mai nhi rkhta hai ......

-


6 NOV 2021 AT 22:41

mere hote huye gairo ki umeedo mai rehta hai ,
ab to vo hazaaron ki daleelo mai rehta hai.

hariif ki bezaari ka illaj uski adaaon mai rehta hai ,
ab to vo azeezon ki nigaahon mai rehta hai .

gairo k saath rehta hai to sawaalon rehta hai ,
mere saath rehta hai to Jawaabon mai rehta hai......

-


29 SEP 2021 AT 23:19

vo sbke saath safar krta hai
har raat har aik k saath basar krta hai

sab mai say muje darguzar krta hai
har raat khud ko gair ki nazar krta hai....

is dard k liye kon chaaragar krta hai
umar-bhar jis aashiq ka dil vo muntashar krta hai......










-


25 SEP 2021 AT 23:46

gairo k saath nisbat chahta hai
vo to un he ki sohbat chaahta hai ,
muj ko khalvat aur khud ko sarvat chaahta hai
uski khaslat hai ,
ki vo fitrat be gair see chaahta hai..

alag hokar be
vo muj par zulmat chaahta hai,
zulmat mai b aur sabqat chaahta hai

gairo k saath jannat chaahta hai
vo to aaj b muj par qayamat chaahta hai...



-


10 SEP 2021 AT 21:42

chaak garebaan ko silana pda muje ,
ameer dikhne k liye khud ko
sajaana pda muje..

nhi thaa uske liye dil mai thikana ,
majbooran usko bithana pda muje...

zamane ko sitam uska
na batana pda muje ,
aise khud k liye khud he
ko gavana pda muje.........

-


21 JUL 2021 AT 19:55

dil tutne k baad har aik
ko mushiir bante dekha hai,

dil jalake in raato
ko muniir krte dekha hai,

nhi lge kahin to,
is dil ko asiir mai rehte dekha hai,

raina kya kisi ko is tutay dil ka guziir
krte dekha hai
Ā©

-


9 JUL 2021 AT 20:20

humara waqt vo hariif ko de gya
din- raat ki takleef muj ko de gya,

kaise raina tu itna shareef reh gya
ki tashreef-e- uryaani ka ,
mazza vo gair ko de gya......

-


Fetching Ankush Raina Quotes