Sumaiya Riaz ย  (SumaiyA RiaZ)
3.0k Followers ยท 18 Following

read more
Joined 2 August 2017


read more
Joined 2 August 2017
6 DEC 2023 AT 18:35

Last night I had a fight,
fight with me,
Me trying to be,
what I canโ€™t be.

It start with shiver then I get fever,
My body is drowning in the deep black river,
River of thoughts that shred my soul,
Millions of pieces, can you fix as a whole?

Falling in a deep down hell,
I have lost myself,
No reason I know,
No pain to show.

Nobody can see,
I wanna be free,
Free from lines,
Lines very fine,
Fine ? Yes I am fine,
every time I shine,
Shine like moon,
But in the afternoon.

I know what people think,
Think what else I can feel,
Feel I feel that I can heal.

First I need a break,
before any step I take,
I wanna have some rest,
In my cozy tiny nest.

-


3 MAY 2023 AT 3:39

Na Jaane kaisi Fikr-E-Hayaat liye baithe hain,
Ye jo log hain kitne Raaz liye baithe hain.

Koi sunta nahin ab meri khaamoshi ko,
Hum godh mein apne alfaaz liye baithe hain.

Tere Ru-Ba-Ru hone ka Saraab liye baithe hain,
Na Jaane kyun ye jhootha khwaab liye baithe hain.

Padhe hain tere chehre ki lakeeroโ€™n mein likhe sher,
Warna toh log Faraaz aur Majaaz liye baithe hain.

Hain Gunaahgaar toh humko Azaab Mubarak ho,
Aap toh paakeeza hain, kitne sawaab liye baithe hain!?

Bas ek safha padha ki Rang-E-Shikast hogaye,
Hum toh teri khaatir kitaab liye baithe hain.

Hoke Rusvaa-E-Jahanโ€™n laute toh aise laute,
Huye tanha bhi toh tere naam pe Hijaab liye baithe hain.

Hum Shor-E-Girya mein tabdeel awaaz liye baithe hain,
Aur aap mere saamne Rubaab liye baithe hain.

Har ek sawaal ka jawaab liye baithe hain,
Tere har zulm ka hisaab liye baithe hain.

-


22 FEB 2023 AT 4:50

Aankhoโ€™n mein aankheiโ€™n daal ke
rooh mein utaar loon,
Ek baar zehen se guzrooโ€™n toh
uljhan mein daal doon.

Mil na saka hai kisi ko jiska jawaab bhi,
La-Jawaab karde main aisa sawaal hoon.

Aainey ki jagah kabhi mujhko dekh lena,
Tere Zulm-O-Sitam ka main Arz-E-Haal hoon.

Iss pal mein paas aau, main agle pal mein door,
Chhoo na sakoge ki Hasti-E-Na-Payedaar hoon.

Milke bhi tumse yoon hoon judaโ€™a-judaโ€™a,
Behr-E-Oqiyanuus aur Kaahil ka visaal hoon.

Bolne ka shauk hai, bohot kuCh bolte hain log,
Main Inteha-E-Sabr hoon unka wabaal hoon.

Laakhoโ€™n hain mujhse behtar mujhsa nahin hai koi,
Na meri misaal koi, main Be-misaal hoon.

-


11 JUN 2022 AT 23:54

Ek arsa hua woh kissa tamaam huye,
Magar abhi kuch baat baaki hai.

Sehmi si ek khwaahish thi, khaak hui
uss rakh mein dabi ek aanch baaki hai.

Lamha dar lamha use bhula diya,
Dhundli si koi yaad baaki hai.

Jo judaa hua faqat Jism-E-Yaar hi toh hai,
Mere jism mein uski Rooh-E-Paak baaki hai.

Kehna ho agar kuch toh kehdena abhi,
Dhadakta hai dil mera, abhi hayaat baaki hai.

Na karo maut ki dua, tumhein jeena hai abhi,
Koi Qayaamat toh nahin aayi, Saraa-E-Be-Sabaat baaki hai.

Chhoot jaayegi Aadat-E-Yaar dheere-dheere,
Suno ! Meri zaat mein abhi uski zaat baaki hai.

Waqt guzrega toh hum bhi badal jaayeinge,
Mere andar abhi uski sifaat baaki hai.

Na be-aabroo huye na koonche se nikley hum,
Janaab Ghalib, uski nazro'n mein mere liye abhi Lihaaz baaki hai.

Indal-vuquu royenge mujhpe hasne waale,
Sabr toh karo abhi meri vafaat baaki hai.

-


18 MAY 2022 AT 18:01

Zindagi ke har khel mein haarey gaye,
Aise jeete rahe jaise maarey gaye.

Phir bhi ummeed na humnein Chhodi kabhie,
Kasmo'n waado'n pe kartey rahein hain yakeen.

Aaj bhi raakh dil mein dabi hai wahi,
Maar daalegi humko tapish ishq ki.

Daur aisa bhi humnein hai dekha abhi,
Barf ke neeche Chhupa angaara koi.

Chalte-Chalte mere paa'o Chhilte nahin,
Khoon jam sa gaya ke nikalta hi nahin.

Jaan lo jaana phir na karo dillagi,
Dillagi ye tumhe le na doobey kahin.

Phir wahi dard, wahi zakhm, wahi aziyatein,
Phir aag si dil mein lagne lagi.

Dhoop ho, Chhaao ho'n, ya ho'n boondein kabhie,
Achchi lagne lageingi ye garm hawaayein bhi.

Phir koi dard deke Chala jaayega,
Phir koi qeher toot ke gir jaayega.

Yoon na dekho abhi ana parasti meri,
Thokrein Khaayin hain humnein apno se hii.

-


23 MAR 2022 AT 17:30

Meri nazro'n ke saamne hazaaro'n Kirdaar badley hain,
Ek humnein na mohobbat badli na yaar badlein hain.

Kehtein hain log Jaabir hukoomat hai sonch samajh ke likha karo,
Hum na kisi se darey hain na kabhi ashaar badlein hain.

Waqt guzra hai magar ishq mitega na mitaa hai kabhi,
Har daur mein kayi Ishq ke Teemaar-Daar badlein hain.

Ye ishq ki shuruwaat hai, phoolo'n ka bister jaise,
Aage dekhiye kadam kadam pey khaar badlein hain.

Ishq ka zulm toh azal se urooj pey hai,
Kabhi mazloom badlein hain, kabhi sitamgaar badlein hain.

Tabahi husn ki dekhiye sar-E-aam aaj,
Ye hamesha nilaam hai bas bazaar badlein hain.

Hujre k andar ke raaz hain mehfil mein nahin kehtey,
Jism ek hi rahaa hai bas haqdaar badlein hain.

Koshish bohot ki magar dil shahkaar na ban saka,
Haalaanki humney bhi kayi auzaar badlein hain.

Dilo'n se khelne ka hunar har kisi mein hai,
Natak wahi puraana hai bas adaakaar badlein hain.

Daastaa'n -E- Ishq ek jaisi hi hai har shakhs ki,
Har daur mein bas kahaani-kaar badlein hain.

-


4 MAR 2022 AT 19:36

Na jaane konsa zakhm ubhar ke aaya hai,
Bohot waqt ke baad aaj humnei'n Qalam uthayaa hai.

Aankho'n se behtey jharney pe Chand utar ke aaya hai.
Chand hai ki tere noor ka phaila hua saaya hai.

Ye Ishq, Mohobbat, Dard, Junoo'n
Irtibaat-E-Salasil ki kadiyaa'n hain,
Ek aaye toh doosra bhi saath aaya hai.

Kitni aarzooyei'n dafan hogayi gehraayi mein,
Hauslo'n ne phir bhi bohot zor lagaaya hai.

Uthtey hain kayi sawaal ki sirf dard likhti ho kyun ?
Jaanam ! Badi mashaqqat se humnei'n ye maqaam paaya hai.

-


30 AUG 2021 AT 21:05

Lagta hai kisi aur duniya se hoke aayein hain,
Woh apni Shakhsiyat kahin khoke aayein hain.

Chalta phirta Makbara sa jism lagraha hai,
Woh apni Roohaniyat kahin khoke aayein hain.

Jazbaat saare ab dar-kinaar kar rahein hain,
Amliyati falsafo'n ko hathiyaar kar rahein hain.

Meri zindagi mera faisla, teri zindagi pe ho tera faisla,
Apne apne haq pe takraar kar rahein hain.

Wo mere, hu ba hu mere jaise, ab mere nahin lagtey,
Kisi gair ki sohbat se shayad hoke aayein hain.

Ulfat ke phool saare murjhatey ja rahein hain,
Woh apney sath khizaa'n ke jhonkey laayein hain.

Musht-E-Khaak sa mera wajood ho gaya,
Dayaar-E-Gam se hum abhi hoke aayein hain.

-


26 MAR 2021 AT 19:04

Mitti aur MakhmaL

-


3 MAR 2021 AT 5:00

Hum toh bhatak Chuke hain Raah-E-Ishq mein,
Ab jo bhi yahaa'n aaye Raahil ko sath laaye.

Nuqta-E-Aagaaz se hum jitna bhi door aaye,
utna hi bojh gum ka badhta Chala gaya,
Ke ab jo bhi yahaa'n aaye Haamil ko sath laaye.

Mehboob ki aankho'n ki ek leher hi le doobi,
Ab jo bhi yahaa'n aaye Saahil ko sath laaye.

Mohobbat ke imtehaa'n mein mushkil sawaal hain,
Ab jo bhi yahaa'n aaye Aaqil ko sath laaye.

Karna padega intezaam tamaam khwaahishaat ka,
Ab jo bhi yahaa'n aaye Qaatil ko sath laaye.

Rakhna khayal ke koi taaqub na kar sake,
Ab jo bhi yahaa'n aaye Haail ko sath laaye.

Ahmaq thehre hum toh La-Ilm Chale aaye,
Ke ab jo bhi yahaa'n aaye Faazil ko sath laaye.

-


Fetching Sumaiya Riaz Quotes