Na tujh jaisa haal na hai mera,
Gar maine maan liya chaand tujhe
Toh, laakhon me chamkdaar tu hi rahega,
Raat ho purnima ki ya amavas ki,
Mera chaand tu hi rahega!-
Yun socha jaaye, agar taarif karne waale na ho toh kya kisi ki bhi uplabhdiyon ya kala ka halla ho payega?
Toh taarifon ka daur chalte rehna chaiye!
-
Auraton ke naam bus me seat rakhi jaati hai,
College me aarakshan milte hai,
Ab mardon ko ispe aapatti ho rahi hai.
Kyu mardon ke naam ka divas khaas nahi hai, kyu mardon ke liye koi seat nahi hai,
Toh mardon , ye ab bharpaai hai un pichle dino kii, ye samjhien ki ye auraton ko aage laane ka nahi sirf barabari dene ke upaay ho rahe hai jinhe khud mardon ne apne faide ke liye piche roka tha,
Aur ye zara sa hakk deke jataien na
Jo kuch kiya hai use bar bar keh ke bataien na!-
Shikaayatien na hone ki bhi shikaayat hai,
Khwaab na milne ka bhi gham hai,
Khwaab na hone ka bhi gham hai,
Kisi ko unchaaiyaan na milne ka gham hai ,
Toh kisi ko unchaaiyon se gham hai,
Kisi ko apno ka gham hai toh,
Kisi ko apno se hi gham hai,
Yaha ho jitna bhi kisi ke paas ,
Wo saara kuch bas thoda sa kam hai!-
Tanhaaiyon ka mijaz kuch aisa hai ki
Jab aadat ban jaati hai tab,
Saari kamiyon ko mita jaati hai!-
Kisi ko shorat, kisi ko daulat, kisi ko nai zindagi toh kisi ko naya yaar chaiye tha
Jaane dena un sabko jinhe tumhare siva
Kuch bhi aur chaiye tha!-
Inn udaasiyon se, inn khamoshiyon se,
Aur inn fizul ki tanhaaiyon se rihahi ka daur
tabhi shuru hota hai,
Jab umeed sirf khud se hone lage.-
Wo jo zindagi me sahi wakt pe sahi kirdaar
me dhalna sikh gaya,
Wo zindagi ke kaafi karib ho gaya!
-
Badlaav ki pehli sidhi hi hai
'Doglapan'
Na iss paar ke honge na uss paar ke kehlaye jayenge,
Toh jamkar dogla baniye,
Ek din zarur badlaav ki naav ko neki ka kinara mil jayega!-
Kya aankon me sach dikhta hai ab?
Hum insaano ne shayad ye roop bhi chupana sikh liya hai sachai ka!-