Amaan Wani Ā  (Amaan Wani)
1.0k Followers Ā· 207 Following

read more
Joined 29 December 2017


read more
Joined 29 December 2017
3 FEB 2022 AT 17:37

Dunya bhar k taano ka koi asar nahi mujpe
Mai aksar apne haal pe khud hasta rehta hu

-


12 JAN 2022 AT 10:21

Raat k andhero mai
Chale aate ho tum
Jisse marzi usse leke
Chale jate ho tum
Itna zulm o sitam kar k
Kaise so paate ho tum.
Tadpoge tum apno ki jaan k khaatir
Jis qadr hume tadpaate ho tum
Qatl e aam ko hadisa kehte ho
Ye jhoote alfaaz kaha se laate ho tum
Buzdil aankhe tumhare saaf dikhti hai
In aankho se sachai bayan karte ho tum
Aakhir ye hathkadiyan toote gi humari b
Dekhte hai tab kaise khud ko bachate ho tum

-


27 NOV 2021 AT 3:18

Mai pukaro agar na tumhe
Toh tum mujhe yaad na karoge
Mai dua karta hu khuda se
Is qadr tum kisi ko barbaad na karoge

-


13 APR 2021 AT 13:12

Haq k liye mare kitne jawaa yaha
Har khoon k katre k hai kitne gawah yaha
Buzdili ko bahaduri ka naam dekar
Kiye tumne kitne aashiyane tabaah yaha
Baithe hai kursiyo pe katputliyo ki tarah woh
Kisi ek ne b na ki insaaf ki nigaah yaha
Ab mushkil hai azaad hona in zanjeero se
Naujavan chun rahe hai behayi ka raasta yaha.
Sab bhula baithe hai shahadat apnu ki
Nashe aur badkaariyo mai hai sab mubtala yaha.
Uthenge phir kisi roz kuch imaan k pakke
Laayenge phir woh aazadi ka sama yaha





-


1 DEC 2020 AT 23:18

Mujhe bhi kabhi ye ehsaas ho
Jaise ki tu mere paas ho.

-


1 DEC 2020 AT 23:13

Kuch ache toh kuch be reham dekhe
Usne mere jigar pe kayi zakham dekhe.

-


1 DEC 2020 AT 19:30

Mere dil se na rakho tum wafa ki umeed
Mere qaabu mai mera muskurana b nahi.

-


23 NOV 2020 AT 20:45

Nikla jab ghar k darwaze se
Toh har taraf hathiyaar dikhe
Haath mein kuch sikke thay
Aur bhaagte mere yaar dikhe
Thodi himmat ki aur aage badha
Toh mujhe log beshumaar dikhe
Zuban pe tha azaadi ka naara
Aankho mai unke angaar dikhe
Bandook ki noke pe har shakhs tha
Mujhe sab k seene taiyaar dikhe
Chali goliya aur giri laashe bhi
Mujhe sab k hosle barqaraar dikhe
Rone laga asmaan bhi ye manzar dekh k
Aur muskurate mujhe kuch gadhaar dikhe

-


23 NOV 2020 AT 20:34

Nikla jab ghar k darwaze se
Toh har taraf hathiyaar dikhe
Haath mein kuch sikke thay
Aur bhaagte mere yaar dikhe
Thodi himmat ki aur aage badha
Toh mujhe log beshumaar dikhe
Zuban pe tha azaadi ka naara
Aankho mai unke angaar dikhe
Bandook ki noke pe har shakhs tha
Mujhe sab k seene taiyaar dikhe
Chali goliya aur giri laashe bhi
Mujhe sab k hosle barqaraar dikhe
Rone laga asmaan bhi ye manzar dekh k
Aur muskurate mujhe kuch gadhaar dikhe

-


29 OCT 2020 AT 12:02

Ya khuda mujhpe qaram kar
Mere sakht dil ko naram kar
Bure kaam se door rakh mujhe
Sahi raaste k aur mere qadam kar

-


Fetching Amaan Wani Quotes