Alveera Hafeez   (Alveera Hafeez)
280 Followers · 15 Following

read more
Joined 10 August 2018


read more
Joined 10 August 2018
13 JUN 2022 AT 1:15

Na mile hum toh kya hua,
Iss pal toh aap saath hai,
Kahi milenge aasmano mei,
Jaha jagmagati raat hai.

-


4 JUN 2022 AT 16:18

Ek Nazar
Thodi tut si gayi thi,
Kuch yu bikhar si gyi thi,
Ummeed ki ek chah mei,
Mai jhulas si gyi thi,
Aansoo ke dariya mei,
Mai doob si gyi thi,
Ek band darwaaze k liye,
Mai kuch yu marr si gyi thi,
Tab ek din ek nazar mei,
Mai fir jee si gyi thi,
Jab unki aankho mei,
Mai fir dikh si gyi thi,
Jab unki mohabbat mei,
Mai fir se jud si gyi thi,
Jab na jaane kaise,
Mai fir se ud si gyi thi,
Itne gehre andhero ke baad,
Aakhir mai fir se dhadak si gyi thi.

-


1 APR 2022 AT 22:19

Naseeb hai,
Ya shayad naseeb nai,
Manzil muqaddas hai
Par raaste haseen nhi!

-


23 FEB 2022 AT 0:09

Yun toh tasawwur bahut kiye,
Par aapke saath hassas alag the!

-


20 FEB 2022 AT 22:36

Yun toh saara jahaa iss dil mei utarne ko beqarar hai,
Par iss dil-e-azeem ko iske mehboob ka intezaar hai.

-


4 FEB 2022 AT 16:43

Gelid
-Alveera Hafeez

"Music spread her darkened wings,
So did I while attaching my strings,
The room shrieked with a deadly silence,
My heart and mind dwelled with violence."

Read the caption

-


4 FEB 2022 AT 14:11

Ajeeb hi dastaan hai iss ishq ki,
Jab intezaar tha tab wo nahi tha,
Ab wo hai toh intezaar nahi tha!

-


23 JAN 2022 AT 13:38

Koi jo jaan jaaye tumhe,
Qareeb hai tumhare,
Or jaan kr anjaan ho jaaye,
Toh naseeb h tumhare.

-


9 JAN 2022 AT 0:14

Gleam

"I started accepting that darkness,
I started accepting those thoughts,
Those beautiful forests became my darkness,
I believed those evergreen droughts."

-


2 JAN 2022 AT 2:03

Unke intezaar mei maut bhi haseen hai,
Or unke na hone se zindagi bhi gamgeen hai,
Thode se berukhe ho jaate hai wo humse kabhi kabhi,
Par unki muskurahato se hi ye zindagi rangeen hai.

-


Fetching Alveera Hafeez Quotes