Abhishek Surti   (Abhishek Surti)
34 Followers · 25 Following

read more
Joined 26 July 2017


read more
Joined 26 July 2017
7 APR 2022 AT 1:44

Aankhon ki roshni ban ja...
Khawabo ko haqeeqat bana...

Kabhi barish hi ban ke tu aa...
Sukhi mitti me khushboo tu la...
Nadiyon ko tu kar de naya...
Aur kagaaz ki kashti baha...

Kabhi raat me tu chandni banja...
Kabhi neendon mein tu sapne bana...

Andheron me bhi tu hai jugnu si...
Aur zulfein teri lage lehron si...
Ye jo aankhein teri hai sagar si gehri...
Teri hasi me chupi hai puri duniyaa meri...

-


29 SEP 2021 AT 3:36

Khayalon ke mausam me aaj bade dino baad barsaat hui hai...
Sookhi padi jasbaaton ki mitti ne maano aaj rahat ki saas li hai...

-


4 MAR 2021 AT 10:32

Iss Aaj par tu yuh shaq na kar...
Yeh Aaj hi hai jo rahega umra bhar...
Jab na the hum tab bhi Aaj tha...
Jab na rahegein hum tab bhi Aaj hoga...

Is Aaj mein hi main tumhare sang rahuga...
Is Aaj mein hi main tumhare sang rahuga...

-


3 OCT 2020 AT 16:25

Dhanyaa on daal...
Swaad karde kamaal...

***Aaj hi sampark kijiye...***

-


15 SEP 2020 AT 1:32

Kaafi waqt guzar gaya hai uss nazariye se nazare dekhe hue...

Kai baar gumraah hone ko log khushiyan maan lete hai...

-


15 SEP 2020 AT 1:24

Woh dil jo kabhi toota tha...
Use ab yaad bhi nahi hai woh kab toota tha...

Waqt badi kamaal chiz hai...

-


28 MAY 2020 AT 5:31

Jo dhund hai hawaon mein...
Aur khauf hai fizaaon mein...
Lipat ke yun japheth ke...
Yeh neend mein kured de...

Phir uth ke tum yuh neend se...
Nishabd hoke baithte...
Zehen mein tum kya dekhte...
Vilupt hoti neend mein...

Yuh saason ko samet...
Kin khayalon ko kuredte...
Jo bhasma hoke raakhse...
Vibhuti roop ban gaye...

Ghadi samaksha aagyi...
Jo kar rahi hai tik tiki...
Gati badhi hriday ki yuh...
Jo buddhi kar de tark si...

Jo hoti hai dimag mein...
Yeh harkatein Neurons ki...
Yeh sajishein nahi magar...
Khudi se hai yeh dillagi...

Yuh maun mein hu kaun main...
Main hu yahi ya hu nahi...
Yeh aag si lagi hai jo...
Thami hai par bujhi nahi...

-


30 APR 2020 AT 11:57

Waqt lagta hai haqeqat ko apnane me...
Par us darmiyan sansein bhi boj si lagne lagti hai...

-


19 APR 2020 AT 3:58

I'm not going to stop...
You may close your eyes...

-


8 APR 2020 AT 12:46

Bas isi haqeqat ke saath hai ab jeena...
Ke woh ab khush hai mere bina...
Mil gayi hogi use khush hone ki koi nayi wajaah...
Dhal Gaya hoga meri yaadon ka kaarwaa...

Ab bas haqeqat ko apnana hi hai munasib...
Ke usne kar diya apni zindagi se mujhe khuda hafiz...

Mann karta hai ke ab bas doob jaau...
Par kambakht mujhe tairna aata hai...

-


Fetching Abhishek Surti Quotes