Yun hi aaj fir, kya khoya kya paaya ka hisaab lagane baith gya,
Jis jis ko apna ghar maana tha, us uske kirae ka takada jodne baith gya!
Jisko fizul bekharchi maani thi ,wo aaj fir punji k hisse mein jud gyi.
Jisko sampatti soch bhut sambhaal k nivesh kia tha,
uski sirf bachi hui raseedo ki miti hui syaahi aaj wapas nazro k saamne pad gyi.
Aur un befikri k lamho mein udae hue waqt k anubhav aur har ek koshish k tazurbe ka hisaab jod
soch mei pad gya
Ki ise khudki daulat maanu ya zindagi tera karz.
Daulat k lie bhut kam aur karz k lie bhut zyada hai ye,
To fir kuch nai koshishe kr tera karz kam aur apni daulat badhate hai,
Kuch tazurbe kharch kr,
Kuch nae ghr banate hai!
-