Aasim Pervez   (Aasim)
28 Followers · 37 Following

Joined 10 June 2018


Joined 10 June 2018
7 AUG 2021 AT 8:37

Chaand taaron ko tere paas laaun kese,
Apni kaamyabi ka jashn manaun kese,
Tujhe dekhne bhar se jee nhi bharta,
Sochta rehta hun ki tujhe paaun kese,
- Aasim Pervez

-


21 OCT 2018 AT 21:57

har ek raaz mohabbat ka bataya nhi jata,
har ilzaam mohabbat par lagaya nhi jata,

unka chehra har waqt nigaahon mein rehta hai,
doosro ko ye chehra dikhaya nhi jata,

kasme or waade bhut kiye jaate h pyar mein,
un kasmo or waadon ko pyar mein nibhaya nhi jata,

teri tasweer ko har waqt dekhta hun,
aankhe band karke bhi teri soorat ko bhulaya nhi jata,

kabhi marham banti thi mere zakhm ka, to kabhi uhi mujhe hasaya tha jata,
aur kya bataun us pagli k baare mein uski kisi ek baat ko bhi bhulaya nhi jata,

mujhko mere gamo se door le jati thi,
main samajh hi nhi paya ki pagli kitna mujhe chahti thi,

kayi baar to yuhi mujhe jhuta gussa dikhati thi,
par na jaane kyu mere msg ka reply kiye bina reh nhi pati thi,

jab wo roothti thi to ek alag hi mahol ban jata tha,
kya bataun yaaro usko manane mein kitna maza aata tha,

jaanta hun ab bhut mushkil hai tere msg ka aana,
isiliye ab seekh gaya hun udaas hone par apne aansuo ko chupana,

-


21 OCT 2018 AT 21:51

tere pyar ne mujhe jeena sikha diya,
bhut kuch bhoola or bhut kuch yaad dila diya,
meri udasi or gam-e-zindgi ko tune mujhse chura liya,
meri zindgi k har lamhe ko tune apna bana liya.

-


12 JUN 2018 AT 10:20

mere dil mein jo dard h,
wo mehsoos use bhi hota h,
tabhi woh mere saamne hasskar,
akele mein tadap k rota h,

-


10 JUN 2018 AT 6:03

Paas aakar mere seham si jati ho,
Apni jhukhi nazro se na jaane kya kya keh jati ho,
Haatho se door karti ho mujhe,
Par saanson se rok leti ho,
Mere door jaane se ghabrati ho,
Par na jaane kyu,
Paas aakar mere seham si jati ho.

-


Seems Aasim Pervez has not written any more Quotes.

Explore More Writers