Raat ke iss waqt ne mujhe abtak jaga rakha hai... Kyunki kisi dilnashin chere ne mujhe apna banna rakha hai... Yun karwate badalte rehte hai pal do pal magar... Unhone apne aanchal ke zariye dil ka cheyn chura rakha hai..
life has always been a straight line path without any particular direction but u have been there all the time to keep it simple... thanks to make us worthy enough to walk through the path...
Unn bikhre palon ko batorna chata hun Haan kabhi fursat mile toh..... Dekhne ko puri duniya padi hai Lekin tere sath dekhana chata hun Haan kabhi fursat mile toh.... sawal hai kheydh mere bhi iss mann Mein... Puchne ki kosish puri karna chata hun..... Haan kabhi fursat mile toh.... Pal bhar ke liye hamrahi banna chata hun.... Haan kabhi fursat mile tohh....
Mujhme basse andhere ko Bass teri roshini ki talash hai.. hadd toh hai meri bhi Ki tujhpe mitkar bhi Tujhiko paane ki aas hai.. Jhoot kehta hoon mein iss Duniya se ki khush hoon apni duniya mein Kehne ko choti hi sahi, pal - pal ke kisso ka bhi Andaz kuch khas hai.....
Bachpan ek kahani thi.. pal do pal ki naadani thi.. Gambhir pade jiwaan mein maujo ki rawani thi...... Jawani padi rehti ghumnam Kisi mor par... Kehti jor shor se_____ Kahin dekha usse kya Tumne??? Haan kahani ki galiyon mei. Wohi eklauti sahi----- Mere astitva ki nishani thi.... Nanhe kadamo ki shaitaani thi... Bachpan ek kahani thi......... Bachpan ek kahani thi.....
Na mujhe tumhari gulami karne ka gham tha Na hi tumse mili azaadi par gumaan Bass ek baat aksar khatakti hai iss Chupchap se mann mein __ ki zarooraton ko paane ki kosishone mein imaan ko bikhte dekhta raha....
#Insaan hun bhagwan nai!!!! Berozgar hun Bekaar nai.... imandaar hun Gadaar nai... Aur kabhi jo aaye hasi halat pe Toh yaad rakhna mehanat ka haqdaar hun Besharmi ka zeehmedar nai.......