Maa ke liye ab kya likhe?
Maa to bas maa hi hoti h!
Jb saari duniya khilaaf ho,
Tab bahon mein sametne wali
maa hi hoti hai!
Phone pe pehla sawal khana kya tune ??
Puchne wali maa hi hoti hai!
Humhara pet bhar k khud bina
khaye sone wali maa hi hoti hai!
Humhare ghar na aa jane tak
na sone wali maa hi hoti hai!
Humare liye duniya se
lad jane wali maa hi hoti hai!
Bs isiliye maa to bs maa hi hoti hai!!
-