Sufiyana Anand   (Sufiyana Anand)
626 Followers · 608 Following

Joined 12 August 2017


Joined 12 August 2017
8 MAR 2023 AT 0:04

Aaj , holi ka rang toh tum paani se utar logi ,
Magar khoon mein jo matlab ka rang hein woh kaise saaf karogi ….

Tum waha holi manna rahi thi
Mujhe yaha hassi aa rahi thi
ki jazbaatoon se khelni wali ladki
Ab Rangoon ke saath khel rahi hein …

Tune pehle hi kayi rang badalne hein Sufi
Aaj yeh neya rang lagaker kisse dasne jaa rahi ho …

-


12 FEB 2023 AT 0:26

Kalam meri pyaasi ho chali hein,
Alfaazoon ki bhi bhookh lagi hein,
Koi toh aaye , aaye aake inhe reha kare,,
Mudaatoon se khali hein dil mera
koi toh aake taaze zakham inme bhare✍️✍️✍️

-


24 JUN 2022 AT 23:52

Agar tumhe samne walle ki zaroorat nahin hein ,toh samne walle ko bhi tumhare zaroorat nahin hein,
Agar woh tumhare care kar raha hein , harr ek baat ka kaha maan hein
Toh phir tum galat ho sabdoon ko samjane mein
Care hein sahab uski taraf se b
Zaroorat nahin hein 🙏🙏🙏

-


30 APR 2022 AT 23:15

Yeh maine bahut pehle sikh liya tha
Jab samne walle ke paas tumhare liye waqt na ho naa
Toh tumhe bhi usse waqt dena shodh dena chahye
Samne walle ko yeh ehsaas karvana ki tumhe uski zaroorat hai ,se acha hein
tum usse yeh ehsaas karvao ki hum dono ek dusri ki zaroorat hein …

-


9 APR 2022 AT 23:09

Agar tum sach mein baday ho chalay ho ,
toh samne walle ka lehza aur uske ishaare samjo,
Sufi baatein toh bachein bhi samaj lete hein …

-


6 APR 2022 AT 23:10

Dhua udd gaya hawa mein toh
khaakh peeche reh gayi,
Tu toh chal gaya zindagi se
Magar teri yaad peeche reh gayi,

-


3 APR 2022 AT 16:00

Mujhe ache se maloom hein .
Koun mere saath khel raha hein
Koun mujhe pail raha hein
Aur koun mujhe jhail raha hein ...

-


1 DEC 2021 AT 21:21

Ki Paaon se leike ser tak
Choom loon woh mitti jo tere safer se guzare ghar tak ,,,
Ghar ki deevaaroon pe teri tasveer banna kar
Bus phir deekhta rahoon subah se leike shab tak,
Madira ki ek mehfil sajaoon,
Saath mein teri yaadoon ko bithaoon
Mein peeta rahoon jaam pe jaam aake tu mera haath na thaame tab tak ,,
Ki paaon se leke ser tak
Choom loon woh mitti jo tere safer se guzre ghar tak ,,,

Alfaaz uske khatam ho chale hein
Soch zehan mein aati nahin hein
Muflis ho chala hein woh shayar
jisne tujhe deekhdura nahin hein ab tak ,,,
Saal mein ek din hi tu mere naam kar
Phir bhale hi pura saal na tu baat kar
Mein tujhse dur hu aise jaise zameen se chaand taare
Tu hi bta mere SUFI yeh dooriyaan chalage aur kab tak
Ki paaon se leke ser tak,
Choom loon woh mitti jo tere safer se guzre ghar tak ,,,

-


30 NOV 2021 AT 22:43

Shodh ke ab tujhe kahin jaana nahi hein ,
Moka jo dia hein tune khud ko paane ka usse gawana nahin hein…

-


28 NOV 2021 AT 21:50

Teri nazaroon ne yeh kaisa tamasha kar dia hein
Mera , mere hi shehar mein jeena muskil kar dia hein

-


Fetching Sufiyana Anand Quotes