Alfaz_e_ruuh   (alfaz)
277 Followers · 3 Following

Joined 14 August 2017


Joined 14 August 2017
11 OCT 2022 AT 20:02

Abhi faqat aap khayalon me hain, kabhi saamne bhi aayenge,
Tumse bahut kuch puchenge, tumhe sab kuch batayenge.



Hamara Jahaan bah gaya khud apne ashqon se,
Ab tumhare jahaan me ek naya ghar banayenge.



Suna hai bahut sahra hai tumhare makaaan me,
Hum tum Milkar aansuon se kuch Gul khilayenge.



Maut ko choomne ki tumhari chahat hogi fanaa,
Jab zindagi ban hum tumhe apne gale se lagayenge.



Abhi faqat aap khayaalon me hain, kabhi saamne bhi aayenge
Kabhi to palkein uthengi, kabhi to aankh milayenge.


-


25 MAR 2021 AT 18:24

Waah khuda teri khudai, kitna mushkil imtihaan kar dia...
Dil lagane ki chuuth di aur sharaab ko haraam kar dia...

-


25 MAR 2021 AT 18:13

Kya chahta hu mai ,talaash karegi kabtak ?
Agar asaan hota mujhe samjhna ,mai samajh leta abtak...

-


24 MAR 2021 AT 10:55

Har shaqs hai ek parde mein,
Aur hume koi gila nahi...
Bepardah hona asaan kahan,
Bepardah to Khuda nahin...

-


23 MAR 2021 AT 11:47

Hasrat, hasad, mehnat, dua se kiya mila hume?
Jitna mila qokh-e-maa me, utna ab kahan mila hume.

-


23 JAN 2021 AT 0:07

Masla( Part 2)

Tum ab bhi rahogi mahfooz meri amaan me,
Mjhe khauff khud se apni amaan ka hai.

Ab ho gaya hun main ishq se na-ummed,
Kuch main badal gaya hun, kch sabab haalaat ka hai,

Tumhari zindagi ek lamba khwaab hai,
Mera har khwaab bas ek raat ka hai.

Kaise kahun main yeh baat, ke aur asar ho,
Masla saara, bas isi baat ka hai.

-


23 JAN 2021 AT 0:04

---Masla (part 1)----

Main is baat ko kaise kahun,
Masla saara, isi baat ka hai.

Batao mera ohda is jahaan ko,
Faasla mere or khuda ke darmayaan, bas namaaz ka hai.

Tum kis nashe me kar rhe ho uski waqaalat,
Tumhara har kissa uski gumaan ka hai.

Khamosh rahe hum us mehfil me jaankar,
Nahin yahan koi wazan meri baat ka hai.

Nazrein neeche kar badal lete ho tum ab raasta,
Yeh sharm hai tumhe apne qusoor ki, ya dar mere ahsaas ka hai.

-


22 JAN 2021 AT 0:38

Mehfilon mein aksar, simat jaati ho gair ki baahon me,
Yeh nayi mohabbat, purana ishq chupane ke liye hai...

-


21 JAN 2021 AT 20:51

Madhosh rahe teri kaifiyat me arson,
Ab har lamha, woh kaifiyat bhulane ke liye hai.

-


16 JAN 2021 AT 23:22

Yaqeen karo mera, nahin kuch aasman ke oopar,
Kis aas me tumne zameen par ghar jala dia??

Vasal or Hijar ke darmiyaan faasla kitna hi hai?
Bas itna ki, mujhe thaka dia!!!

-


Fetching Alfaz_e_ruuh Quotes