Pooja Tiwari Β  (Β© Saher)
84 Followers Β· 16 Following

read more
Joined 14 June 2017


read more
Joined 14 June 2017
17 JAN 2022 AT 0:52

Yun kabhi milo mujhe
- Inspired by my dearest friend -
(Check the caption)

-


7 SEP 2021 AT 16:25

Har qadam , har ghadi
Naya sawaal lage zindagi
Kabhi khushiyon ka pulindaa
Kabhi malaal lage zindagi...

Jo tu hi bana bezaar
Toh hi behaal lage zindagi
Chal uth , ab jee le 'Saher'
Ke kamaal lage zindagi...

-


18 MAY 2021 AT 20:37

Jhoothi duhaayi , jhoothe dilaase
Dekar sukoon tu kab tak paayega
Jeete ko berehmi se maarne waale
Mehez mazaak tu bhi maara jaayega
Beimaani ka woh beej jo toone boya
Woh ped ek din tujhe hi khaayega
Kaanch ke sapne mere jo choor hue
Tere bhi khwaabon ko todke choora jaayega

Allah kasam jis tarah sataya mujhe
Usi tarah tu bhi sataya jaayega ...

-


9 MAY 2021 AT 22:10

Main tujhse pyaar nahi karti
Phir bhi teri ek jhalak paake main muskaati hoon
Main tujhse pyaar nahi karti
Phir bhi teri awaaz ko geet samajhkar sunti jaati hoon
Main tujhse pyar nahi karti
Phir bhi tere Whatsapp pe online aane ka har hisaab rakhti hoon
Main tujhse pyaar nahi karti
Phir bhi tujhe kab kya kehna hai, taiyaar har jawaab rakhti hoon
Main tujhse pyaar nahi karti
Phir bhi tere halke chuvan ko khuda ka ek uphaar samajhti hoon
Main tujhse pyaar nahi karti
Phir bhi tere saath bitaaye woh 5minute ko tyohaar samajhti hoon

Main jaanoon ke tu nahi meri taqdeer mein
Phir bhi tu dikhe har shakhs , har tasveer mein
Ab khud ko main dar dafa samjhaati hoon ..
MAIN TUJHSE PYAAR NAHI KARTI

-


24 APR 2021 AT 2:15

Woh jo usne mujhe ruswa kiya
Meri nakaamiyon ke kaaran ,
Aaj unhi kaamyaabiyon se use
Apna inteqaam dikhaati hoon

Bhale kuch man ke iraade
Man mein hi reh gaye magar ,
Phir bhi uski shikast ko
Khamoshi se sar-e-aam dikhaati hoon

-


22 APR 2021 AT 10:45

Maana us tak pahunchne mein behad mushkilein hai
Phir bhi hazaaron ko girte sambhalte maine dekha hai...

Suna bewafaaiiyon se bikharti hai duniya
Us bikharte hue ko samit'te maine dekha hai...

Kyun hai tu hataash apni nakaamiyon se 'Saher'
Har nakaami ko kaamyaabi mein badalte maine dekha hai...

-


20 APR 2021 AT 22:57

Chalo us raaste pe waapas chalte hain
Wapas ajnabiyon ki tarah milte hain
Chalo waise hi wapas dosti ka haath badhaate hain
Wapas waise hi nayi kahaaniyaan likhte hain
Chalo college ke is aakhiri din ko , pehle din ki tarah jeete hain....

-


12 APR 2021 AT 20:47

Ye kaisa dastoor hai duniya ka?

Apne aashiq ko sar-e-aam choomne pare sabne khoob hungaama machaaya...

Aur wahin jab mujh par churiyaan chali tab
koi khada tamasha dekhta raha , to koi dabe paaon wahan se chalta bana...

Jab awaaz oonchi karni thi, tabhi sab bezubaan kyun?

-


10 APR 2021 AT 2:53

Har saal khud ko waada karte hain ke jo bhi karenge , uske liye aage pachtaayenge nahi ..... Aur agle hi pal kuch soch ke pachtaate hain ....

Na jaane kyun hum woh kabhi Na nibhaa paane waala waada khud se kiya karte hain..???

-


7 APR 2021 AT 21:59

Kitne hi khayaal panne par utre
Aur kitne hi man ke qabristan mein dafan ho gaye ...
Aur jo khayaal muqammal bhi hue , wo ab yaad nahi rahe ...

Ye umar ka taqaaza hai
ya isse behtar kuch likh jaane ki chaah hai ...?

-


Fetching Pooja Tiwari Quotes