21 MAY 2018 AT 2:38

Maa tum itni sundar kaise ho?
Aaj ye tumhara laadla tumse kuchh baatein karna chahta hai..
Mana ki tum wo jaadu ki potri nahi ho,par tumhare har rang me jaadu sa dikhta hai.
Tumse bas khwaish karne ki der hoti hai,meri jholi toh aise hi bhar jati hai..
Kya bachpan me maa tum mujhe godd me aise hi sulati thi,kya wo loriyan tum khud hi gaati thi?
Kehne ko tumse toh hazaron kisse hain maa,par kya tum mere bachpan k kisse sabko yunhi sunati thi?
Hasta tha aur rota tha main par teri ungli pakad k chalta tha main...
Ab naa jane zindagi aisi kyun hain maa
Sochta hun phir se tumhari saree me chhup jaun..

- Hrithik Verma