18 JUL 2018 AT 0:32

Kabhi Samjh hi ni Aaya

Ki Ye Zindagi hai Kya..?

Ghamo ka derra
Ya
Khushiyon ka Sawera

Aansuon ki Lambi si Naddi
Ya
Khilti hui Badi si Hansii

Dusro ke liye Kuch Karna
Ya
Apne liye sab kuch Karr Guzarna

Khushiyon se bhara ek chota sa ghar
Ya
Ujadta hua ek Ghosla

Aakhir hai kya yeh Zindagi...?
Samjho To Jaane..?

- #ShutterbugPoet